Wednesday, October 7, 2009



Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi,
Ek pal Nahi jab Tumhe Humne Pukaara Nahi,


Meri Nakaamiyon Ka Itna Bhi Gum Na Kijiye,
Agar aap Jeete Hai to Main Haara Nahi,


Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi,


Tere bin Yun Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi,


Kar Rakha Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala,
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahi,


Kisko Gale Laga Ke Rooye Na-Muraad Hum,
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi,


Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab,
Gehre Hai Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi,


Wo aa Ke Poonch De Aansu Hamari Aankhon Se,
Itna bhi Hamare Hak Mein Naseeb Hamara Nahi..!!

Nagma......


vo aaye dill tham sa gaya..

aaj kya yad aayakhuda jane..

mehfile umeed kab khwab hui .kaun jane..

kya sach hai kya afsane...

kaun shama kaise parvane..

ik yad aai ,ik yad gaee..

kyun kiski kaun jane..

sare chehre the jane pehchane..



na karo aab mujh ko ruswa...

kya kam kiya hai duniya ne..

aab na aarjoo koi ,na hi umeed..

kyun na tum jano na hum jane..

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main

Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain

Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai

In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai !