Saturday, November 9, 2013


Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha Who laut kar na aaya magar intezaar tha Jo humsafar tha chorh gaya raah main mujhe Main phans gaya bhanwar main wo darya ke paar tha Manzil qareeb aayi to tum door hogaye Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha Chilman gira di yeh kis ne dono ke darmiyan Na wo sakoon se betha na mujh ko qaraar tha Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha Yeh baat umer bhar samjh na paaya main Kyun Dil mera us ka talabgaar tha