Friday, January 8, 2010


bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me
ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane me


baras padi tihii jo ruKh se naqaab uThaane me
vo chandanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane me



izi me ishq ki qismat badal bhi sakatii thi
jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane me

ye kah ke tut padaa shaakh-e-gul se aakhirii phuul
ab aur der hai kitanii bahaar aane me

Thursday, January 7, 2010


mere harfon se tujhe pyaar ka lafz hi mila tha kya

maayene badalane hi the to koi aur lafz hi churaaya hota

ab bataa pyar ki iss shaqal ko le kar kahan jaaun

shaksiyat badalni thi to koi aur naam hi bataaya hota

zindagi cheen kar tu ne maut mere haathon mein rakh di

zamaane mein beaabro jo kia, zara khuda bhi bulaaya hota

gumaaan bahut tha mujhe, ladne chali thi sabse

main jeet to jaati jo tu ne zara saath nibhaaya hota

tu dekh na paaya meri nazrein darwaaze pe hi tiki thi

kaash tune ek baar to zanzeer se khatkhataaya hota

haath to tu ne badaaya tha sanam meri taraf pehle,

ab jo sazaa di hai uska ilzaam khud par bhi lagaaya hota.....