Tuesday, November 9, 2010

Teri Ahat Ka Asar





Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.pan>

Monday, November 1, 2010


Mai khdi rah pe aisi jahan ...
Dikhta mujhe ateet nahi,
Yeh waqt sunehara mera hai..
Har pal naya savera hai..
Dikhta mujko duur talak..
koi nahi akela hai...
Ye roop sundri si sandhya,...
karti mujhe ishara hai...
aa aage badh kadam utha..
yeh dekh abhi koi tera hai......