Sunday, March 17, 2013


Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar Suno daman churanay se zara pahlay bata daina Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

Wednesday, March 13, 2013

Mohobbat ke Sitam*****


kis ko ehsas mere shidat-e-jazbaat ka hai, Meri halat meriwehshat ki khabar kis ko hai, Kon veran makano ki khabar rakhta hai, Meri ujri hui Qismat ki khabar kis ko hai, Men ne chup chap mohabt k sitam jhelay hein, Meri is darja sharafat ki khabar kis ko Hai, Kon aae gaa dil ab tujh ko tasali dene. Meri udaas tabiyat ki khabar kis ko hai ... ********* Tum haqiqat nahi ho hasrat ho Jo mile khaab meN wo daulat ho MaiN tumhare hi dam se zinda huN Mar hi jauN jo tum se fursat ho Tum ho khushbu k Khab ki khushbu Aur utni hi, be – murawwat ho Tum ho pahlu meN par qaraar nahi Yaani aisa hai jaise furqat ho

Yeh kaisi aag barasti hey Aasmaano say Parindey Laut kar aaney lagey Udaano say Koi tau Dhoondh ke Mujhko Kahin say ley aaye Ki Khud ko dekha nahin hey bahut zamaano say ********** Chalo Tum Chod Do Mujh Ko Main Wapis Laut Jata Hu Tumhain Manzil Mubarak Ho Nai Rahein Mubarak Hoon Magar Phir Ae Mere Humdum Mujhe Itna To Btla Do K Wapis Kiss Taraf Joun Kahan Se Sath Lai Thay Mujhe Itna To Smjha Do Agar Aisa Nahi Mumkin To Mujh Ko Is Trha Toro K Mai Yaksar Bikhar Joun Bhatakne Se To Behter Hai Tumhary Pass Mar Joun…

Yakeen....


Usey main nay he likha tha k Lehjay barf ho jaen tu Pigla nahi kerty Parinday darr ke urr jaen Tu phir lota nai kerty Usey main ney he likha tha Yaqeen uth jae tu shayad Kabi wapas nai atta Hawaon ka koi tufan Kabi barish nai lata Usey main he likha tha Ke Sheesha Toot jae tu Kabi phir judd nai pata Jo rasty se bhatak jae Wo wapis murr nai pata Usey kehna Wo adhora khatt Usey main ne he likha tha Usey kehna ke Dewaney Mukamal khat nai likhty

aaj muje khushi hui hai lekin ander se daar bhi hai too mera mandir bhi hai too mera ghar bhi hai lekin muje mere pyar par pura bahrosa hai ke too muje ese nahi hone doga khoyi khushi mil jaye tujhe kabhi mujeh akale rone nahi dega tu hi mera pyar hai tere bin din kese kate wo tujhe kese batau har ek ek din ka intezaar karti rahi sochti rahi kahan jayoon kahan jayoon *********** Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah. ************ Ahil udaas tha k samundar udass tha.. lagta tha jaise sara manzar udass tha.. loti falak se to bari dilgeer thi dua.. ek khuwb tootne per mqadarr udass tha.. phir chaand ko laga ker gale ro pardi ghata.. aisa laga tofaan bhi falak per udass tha.. meri tabahiyon per use bhi malal tha.. aaina khud ka torr ker pathar udass tha.. jo shakhas shaher bhar main hansi banta raha.. yah dil uski bazam main ja ker udass thaa

Alfaz E dil*Poetry


Yaad Hai Humay Apnay Sab K Sab Gunaah, Ek To Muhabbat Karli, Dusra tumse Karli, Tesra Bepanaah Karli.... Woh aqs bun kar meri chashm-e-tar maiN rahta hai Ajeeb shaks hai pani kay ghaR main rahta hai Wohi to meri shab-e-gham ka ek peyambaR hai Woh ek sitara jo chashm-e-sehar maiN rahta hai Jo meray hontoo-n pay aye to gunguna lon ussay woh shair bun kar bayaz-e-nazar maiN rahta hai Guzarta waqt mera gham gusar kya hoga Ye khud taqob-e-sham-o-sehaR main rahta hai Mera hi roop hai tu ghoR say agaR dekhay Bagola sa jo teri rahguzar maiN rahta hai *************** Suno Tum Lout Aao Na Wo Dekho Chand Nikla Hai Sitaare Jagmgaane Lage Hain Hamari Muntazir Ankhain Dua Mangti Hain Tumhain He Sochti Ankhain Tumhain He Dhundti Ankhain Tumhain Wapis Bulati Hain Yeh Dil Jab Bhi Dharkta Hai Tumhara He Naam Leta Hai Yeh Ansu Jab Bhi Behte Hain Tumhare Dukh Main Behte Hain

Khamosi me jo sunoge vo awaz hamari hogi, Zindgi bhar saath rahe vo yaad hamari hogi, Duniya ki har khusi ek din tumhari hogi, Kyu ki in sub k piche dua hamari hogi.....!! Asif Na takht-o-taaj ki hai arzoo na Bazm-e-shah ki hai justaju,,, Jo nazar se dil ko Badal sakay mujhay us nigah ki talaash hai..♥ ~anjia~ ********** Tu To Nafrat Bhi Na Nibha Paye Ga Itni Mujh Se, Jitni Shiddat Se Tera Payar Nibhaya Main Ne.... ******* Kitnay anmol hotay hain ye mohobbat k rishtay Bhi, Koi yaad na bhi karay phir bhi intezar Rehta hai...!! Asif... ****** Hasrat se dekhtay rahay maazi ko is tarah,,...!!! Jese k laut ayngay wo din jo guzar gaey..!! ******

Friday, March 1, 2013


I lost myself on a cool damp night I gave myself in that misty light Was hypnotized by a strange delight Under a lilac tree I made wine from the lilac tree Put my heart in its recipe It makes me see what I want to see And be what I want to be When I think more than I want to think Do things I never should do I drink much more that I ought to drink Because it brings me back you Lilac wine is sweet and heady, Like my love Lilac wine, I feel unsteady, Like my love Listen to me, I cannot see clearly Isn’t that she, coming to me Nearly here Lilac wine is sweet and heady, Where’s my love Lilac wine, I feel unsteady, Where’s my love