Friday, October 25, 2013

Khamoshiyaan***


Pighle neelam sa behta hua ye sama Neeli-Neeli si khamoshiyaan Na kahin hai zameen, na kahin Aasmaan Sarsarati hui tehniyaan, pattiyaan Keh raheen hai ki bas ek tum ho yahaan Sirf main hoon Meri saansein hain aur meri dhadkanein Read more: http://www.lyricsmint.com/2011/08/zindagi-na-milegi-dobara-poems-javed.html#ixzz2hjPkWePb

Mera Dil


gham e zindgi teri raah mein, shabe aarzo teri chah mein.jo ujar gaya wo basa nahi, jo bichar gaya wo mila nahi.jo dilo najar ka saroor tha, wohi ek gulab umeed ka, meri shaakh e jan pe khila nahi. mera hamsafar jo ajeeb hai, to mein bhi hon ajeeb tar.use manjiloki khabar nahi,mujey rastoka pata nahi. pas e karwaan, sar e rehgujar, me hara ho to is liye , k qadam to sab se mila liya mera dil kisise mila nahi.

Betabiyaan***


Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho. Toh zinda ho tum! Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum! Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein Har ek pal ek naya samaa dekhiye Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum! Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum! Read more:

Dard ***


Jab jab dard ka baadal chhaya Jab gham ka saya lehraaya Jab aansoo palkon tak aaya Jab yeh tanha dil ghabraaya Hum ne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai? Duniya mein yun hi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda gham hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai Report