Monday, May 10, 2010

Arz Kiya Hai......


Samndar gehre the sahil Badal gaye
Katal aisa hua tukdo me mera
Kabi Bdle khanzar to kabi katil Badal gaye

*****

WO NAHI MERA MAGAR USSE MOHABAT HAI TO HAI
YEH AGAR RASMO RIVAZO SE BAGAWAT HAI TO HAI
SACH KO MAINE SACH KAHA JAB KEH DIYA TO KEH DIYA
AB ZAMANE KI NAZAR MEIN YE HIMAKAT HAI TO HAI.
DOST BAN KAR DUSHMANO SA VO SATATA HAI MUJHE..

******

Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz
Aaj Dard Phir Kuch Sunaiga
Tanhai Nay Baandhay Hain Gunghru
Aaj Waqat Bhi Thahar Jaiga..

****

kyo labo pe gamo ke pahre laga lie yaron,
aao dur kar le sare gile shikwe,
jindagi to pir se mil jaegi yaro,
pata nai kal hum pir se mile na mile.

*****

Na koi khusi Na koi tammana Rkhte he hum
Apne hi saaye k sang Rhte he hum
Kaise kahe kaise he hum
Bas Ap khush he to bahut khush he hum

chup_chap....



Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The

Log Aate The Gajal Sunne
Hum Uski Baat Kiya Karte The
Sach Samajhte The Uske Vado Ko
Raat Din Ghar Me Raha Karte The

Kisi Viraane Mein Usse Milkar
Phool Khila Karte The
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
Hum Naam Unka Likha Karte The

Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The

Maa.........


Jab kisi ne mujhe choda, tune hi mujhe apnaya hai,
Tujhe hi mera rom rom, tu hi meri sanso mein chalti hwaa hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai

Tere paao mein jannat basti hai, tere much se amrit behta hai
Sabko darshan dene k liye,Tujhe mein hi rab rehta hai,
Aaj khada hu jis bhi mukaam par sab teri hi duaa hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai

Tu roothe to lage jaisa sara jhaa mere se rooth gya,
Hatho se mere kjoi jaise kaanch ka khilone koi tut gya
Har baar meri galti bhul k tune mujhe apnaya hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai


Tujhe hi jindgi shuru hui meri, tu hi mera bhagwan hai
Tu hi bharma Vishnu mere, tu hi mera raam hai
Tujh bin mera mujhe mein kuch nhi, yeh maine samjhaa hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai

Tujh se uncha na koi huaa, na koi hoyega,
Waise hi fal payega jo jaisa boyega,
Pehle maa, duja bhagwan fer bharat mata hoye hai
Tujh par jisne bhi kiye julm, itihas gwah hai who akhir tak roye hai..
woh akhir tak roye hai

Maa......


ek pedh jisne kabhi mujhe dhup lagne na di,
apne aanchal mein chupa ke rakha nazar kisi ki lagne na di.
yad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
har bar rone par tu hi mujhe hasati thi.
Achi neend ke liye naajane kaha kaha se nyi loria aur kahaniya lati thi,
ro padhta hai yeh dil yad karke woh din jab hatho se apne khana khilati thi.
Teri ungli pakad ke maine chalna sikha, teri hi aankho se yeh sansar maine dekha.
bhagwan khud na aa ska is liye shayad tujhe mere liye bhej diya,
nhi to woh bhi to hai yaha jinhe lawaris hi sansar mein chod diya.
aaj fer teri god mein sone ko dil kare,tere hatho se khane ko dil bekrar hai.
Yad a gye woh sunhere din, dil aaj bhi us samay mein jane ko bekrar hai
bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko, bachpan lot ke to aa nhi sakta,
tujhe kitna chata hu maa tujhe kabhi yeh bta nhi sajkta
mera har saans tera ehsan hai..jab chahe ise le lena,
chod ke na jana kabii chahe meri sanse bhi mujhse le lena....

TALASH.....


Koi ajnabii milaa to hai..
Dost ke naam pe
Ek farishta milaa to hai...
Karib ka nahi door ka sahi
Koi ek rishta tumse
Dilka bana to hai..


******

jindgi kein is utartey huey mode par
achanak lga thahrav aaya
nahi sambhal sakey hum
or bhikharney lagey
achanak ek hath bada or
matha sahla gaya mera
lga thandak mili
wo ajnabi jab kareeb aaya to lga
yen to wo hi hein
jiski bachpan sein talash thee
ek dost,
ek sathi,
ek bhai!!

nASEEB


spansirf le de ke yahi ek kami hai hum mein,
hum har ek shakhs ko insaan samajh lete hain.

ALAG TOH KHAAK MEIN MILKE HONA HI HAI IKK DIN......
FIR KYUN NA SANG HEE REHKE JEE LEIN


Log ban jaatein hain aaise waise jaane kaise
Main,main na ban saka main wo banunga kaise.
.

**********

taraqqiyon ke daur mein usi ka zaur chal gaya....
jo bana ke apna rasta bheed se nikal gaya....

naseeb tha uruz pe to chu rha tha asmaan ...
naseeb kya bigad gaya ,zameen pe phisal gaya....

Sunday, May 2, 2010

Veeran na banaye rakhna........


Kuch Na Ho To Yaadon Ko Sajaye Rakhna,
Mulaqaton Ka Na Sahi...yadon Ka Sahi,
Humse Koi To Rishta Banaye Rakhna...

*********

Reth Per Naam Kabhi Likhte Nahi,
Reth Per Likhe Naam Kabhi Tikte Nahi,
Log Kehte Hai ,ham Pathar Dil Hai,
Pattharon Per Likhe Naam Kabhi Mitte Nahi...

Woh Shaqs jana pahchana sa...


Woh shaqs pehchana sa, to anjaaN Kabhi kabhi

Hai saadgi me noor,ke aasmaaN se utra ho
Lagta farishta hai ,to wo insaaN Kabhi kabhi

AnkhoN ke tere, gehre samunder me doob jaaoN
Uthte ye dil me haiN,ayse toofaaN Kabhi kabhi

Baarish ki pehli boond ne jaadu sa kuch kiya
Bebas behekte hain mere armaaN Kabhi kabhi

Mohtaj alfaaz ki ye mohabbat na thi kabhi
AnkheN hi haal-e-dil kare bayaaN Kabhi kabhi

Khamoshi ab sahi na jaaye,kuch to tum kaho
mujh se gilay hi karlo meri jaaN Kabhi kabhi...

What we expect frm life


WHAT WE EXPECT FROM LIFE

WITH LONGING OF ACCOMPLISHMENT IN HEART
WE LIVE WITH HALF CHERISHED DESIRES

WHEN A LONGING TO PERFORM SOMETHING
UNTRADITIONAL,SPROUTS IN OUR MIND
WE LULL THAT LONGING
WITH LULLABY OF SANSKARAS

SUN LITTERED SKY IS IN FRONT OF US
WE CONFINE OURSELVES IN DINGY CELL OF MIND

WE WANT SEA LIKE EXPANSE IN OUR LIFE
IN REALITY,LIVE LIKE WELLED FROG

WE WANT STREAM LIKE FLOW IN OUR LIFE
AND HIDE FLOW OF TEARS IN OUR EYES

WE WANT TO WIN RACE OF LIFE
AND KEEP ON WALKING ON CLUTCHES

CRAVING TO DO SOMETHING OUTSTANDING
AND PANG OF FAILURE TO DO IT

WE KEEP ON LIVING WITH
CONFLICTING MIND

WE DON'T KNOW OURSELVES
WHAT WE EXPECT FROM LIFE