Monday, May 10, 2010

Maa......


ek pedh jisne kabhi mujhe dhup lagne na di,
apne aanchal mein chupa ke rakha nazar kisi ki lagne na di.
yad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
har bar rone par tu hi mujhe hasati thi.
Achi neend ke liye naajane kaha kaha se nyi loria aur kahaniya lati thi,
ro padhta hai yeh dil yad karke woh din jab hatho se apne khana khilati thi.
Teri ungli pakad ke maine chalna sikha, teri hi aankho se yeh sansar maine dekha.
bhagwan khud na aa ska is liye shayad tujhe mere liye bhej diya,
nhi to woh bhi to hai yaha jinhe lawaris hi sansar mein chod diya.
aaj fer teri god mein sone ko dil kare,tere hatho se khane ko dil bekrar hai.
Yad a gye woh sunhere din, dil aaj bhi us samay mein jane ko bekrar hai
bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko, bachpan lot ke to aa nhi sakta,
tujhe kitna chata hu maa tujhe kabhi yeh bta nhi sajkta
mera har saans tera ehsan hai..jab chahe ise le lena,
chod ke na jana kabii chahe meri sanse bhi mujhse le lena....

No comments: