Tuesday, November 9, 2010

Teri Ahat Ka Asar





Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.pan>

Monday, November 1, 2010


Mai khdi rah pe aisi jahan ...
Dikhta mujhe ateet nahi,
Yeh waqt sunehara mera hai..
Har pal naya savera hai..
Dikhta mujko duur talak..
koi nahi akela hai...
Ye roop sundri si sandhya,...
karti mujhe ishara hai...
aa aage badh kadam utha..
yeh dekh abhi koi tera hai......

Thursday, September 16, 2010


वो नाराज़ हैं हमसे की हम कुछ लिखते नहीं ,
कहाँ से लायें लफ्ज़ जब हमको ही मिलते नहीं ,
दर्द की जुबान होती तोह बता देते शायद ,
वो ज़ख्म कैसे कहें जो दीखते नहीं |

दिल को किसी आहत की आस रहती है ….
निगाह को किसी चेहरे की प्यास रहती है ….
तेरे बिन किसी चीज़ की कमी तो नहीं ….
पर तेरे बिन ज़िन्दगी उदास रहती है|

इश्क एक तरफ हो तो सजा देता है,
इश्क दोनों तरफ हो तो मज़ा देता है,
फर्क सिर्फ इतना है…….
कोई खामोश रहता है तो कोई बता देता

Monday, July 12, 2010

Bichde wo yu ki dobara milne na aaye,
lotkar wo gujre zmane na aaye.
Shikwa nhi jo wo pas nhi,
bus ranj is baat ka h ki 1bar b bulane na aaye,
bhul jata gar wo mujhe to koi gam na tha,
dil me basa kar b wo dilse lagane na aaye.
Hua khat-o-jariya b khtam ab likhne ka,
par wo khawab me b hume manane na aaye

Arz Kiya Hai......

Unki ek yaad bechain kar jaati hai
Har cheez mein unki soorat nazar aati hai
Aisa haal kiya unhone hamara
Ke neend aati hai toh aankh bura maan jati hai

***


shaam say pahlay teri shaam na honay doon ga...
zindagi main tujhay na.kaam na honay doon ga...
lagnay doon ga na hawa tujh ko khizaoon ki kabhi...
phool jaisa tera anjaam na honay doon ga...

Arz Kiya Hai......



"पोंछ कर अश्क अपनी आँखों से मुस्कुअराओ तो कोई बात बने,
सर झुकाने से कुछ नहीं होगा सर उठाओ तो कोई बात बने"

******

Ab naam mohabbat ke, ilzaam to aaya hai,
jo chahe saza dedo,sar hamne jhukaya hai.

******

ASHK AANKHON MERI DEKH KAR KHUDKO TADAPAATI KYUN HO,
DIL BHAR AATA HAI TO MUJHKO RULAATI KYUN HO,
JINDGI BHAR K LIYE TU TU MUJHE MIL NA SAKOGI,
TO FIR DOOR JA KAR PAAS BULAATI KYUN HO....

******
Sookh Jaatay hai lab, lafz miltay nahi
Hoota nahi humse ishk-e-bayaan
Unhay kaise bataa doon dil ki lagi…
Kayse sikhaaoon aankhoo ki zubaan


Sunday, July 11, 2010

kaise kahoon teri yaad ati hai.
na jane har khwab mein tu kyon laut ati hai.

ro uthta hoon tujhe har khwab mein dekhkar
kambakht tera yaadein phirse jaag jata hai.

wo har lamha yaad hai mujhe
bhool kar b na bhool saki tujhe.

Kaise samjhaoon is tanha dil ko.
k bhool ja ab wo behtereen pal ko.

kambakht wo meri maanta hi nahi.
in zakhmo ki gehrayi ko janta hi nahi.

teri ye khushboo har pal mehsus hoti hai.
in ankhon ko jaise shabnam si bhigoti hai.

puch liya maine tera haal is hawa se.
wo kehti hai tu naraz hai mujh kambakht bewafa se.

kaash tu samajh pata meri is wafa ko.
dekh liya hota ek nazar meri aankhon ko.

jismein sirf tera hi tasveer band padi hai.
ansoon nikal ate hai tu door jo badi hai.

ab kuch shikayat nahi mujhe is zindagi se.
jee lungi teri in yaadon k marham se.

kash.........

kash mere hathon mein hamesha tera haath rahe,
kash tere hothon pe, hamesha meri baat rahe.
in bheegi hasraton se, teri zulfein bheega kare,
kash mere chehre pe, yeh zulfein har raat rahe.
tanha na ho yeh alam kabhi, hai aisi tamanna,
kash chhat par bas hum tum aur yeh barsaat rahe.
bichhadti nahi chandni kabhi chaand se,
kash hamesha aise hi humara bhi saath rahe/.....

kaise kahoon teri yaad ati hai.
na jane har khwab mein tu kyon laut ati hai.

ro uthta hoon tujhe har khwab mein dekhkar
kambakht tera yaadein phirse jaag jata hai.

wo har lamha yaad hai mujhe
bhool kar b na bhool saki tujhe.

Kaise samjhaoon is tanha dil ko.
k bhool ja ab wo behtereen pal ko.

kambakht wo meri maanta hi nahi.
in zakhmo ki gehrayi ko janta hi nahi.

teri ye khushboo har pal mehsus hoti hai.
in ankhon ko jaise shabnam si bhigoti hai.

puch liya maine tera haal is hawa se.
wo kehti hai tu naraz hai mujh kambakht bewafa se.

kaash tu samajh pata meri is wafa ko.
dekh liya hota ek nazar meri aankhon ko.

jismein sirf tera hi tasveer band padi hai.
ansoon nikal ate hai tu door jo badi hai.

ab kuch shikayat nahi mujhe is zindagi se.
jee lungi teri in yaadon k marham se.

Monday, July 5, 2010

Duaa na kare........


वो दिल ही क्या तेरे मिलने की जो दुआ न करे

मैं तुझको भूल के ज़िंदा रहूँ ख़ुदा न करे




रहेगा साथ तेरा प्यार ज़िन्दगी बनकर

ये और बात मेरी ज़िन्दगी वफ़ा न करे




ये ठीक है नहीं मरता कोई जुदाई में

ख़ुदा किसी से किसी को मगर जुदा न करे




सुना है उसको मोहब्बत दुआयें देती है

जो दिल पे चोट तो खाये मगर गिला न करे




ज़माना देख चुका है परख चुका है उसे

"क़तील" जान से जाये पर इल्तजा न करे

Koi Dost Aisa Banaya Jaye.......


कोई दोस्त ऐसा बनाया जाये,
जिसके आसुओं को पलकों में छुपाया जाए,
रहे उसका मेरा रिश्ता कुछ ऐसा,
की अगर वो रहे उदास तो हमसे भी न मुस्कुराया जाये
आपने अपनी आँखों में नूर छुपा रखा है,
होश वालो को दीवाना बना रखा है,
नाज़ कैसे न करू आपकी दोस्ती पर,
मुज जैसे नाचीज को खास बना रखा है...
फूल सुख जाते है एक वक्त के बाद,
लोग बदल जाते है एक वक़्त के बाद,
अपनी दोस्ती भी टूटेगी एक वक़्त के बाद,
लेकिन वोह वक़्त आयेगा मेरी मौत के बाद...
हम दोस्ती में हद ए गुज़र जायेंगे ,
यह जिंदगी आपके नाम कर जायेंगे,
आप रोया करेंगे हमे याद करके,
आपके दामन में इतना प्यार छोड़ जायेंगे..
तुझे देखे बिना तेरी तस्वीर बना सकता हूँ,
तुझसे मिले बिना तेरा हाल बता सकता हूँ,
है मेरी दोस्ती में इतना दम,
अपनी आँख का आँसू तेरी आँख से गिरा सकता हूँ
दोस्ती इन्सान की ज़रूरत है,
दिलो पे दोस्ती की हुकूमत है ,
जिंदा है आपकी दोस्ती की वजह से,

Monday, May 10, 2010

Arz Kiya Hai......


Samndar gehre the sahil Badal gaye
Katal aisa hua tukdo me mera
Kabi Bdle khanzar to kabi katil Badal gaye

*****

WO NAHI MERA MAGAR USSE MOHABAT HAI TO HAI
YEH AGAR RASMO RIVAZO SE BAGAWAT HAI TO HAI
SACH KO MAINE SACH KAHA JAB KEH DIYA TO KEH DIYA
AB ZAMANE KI NAZAR MEIN YE HIMAKAT HAI TO HAI.
DOST BAN KAR DUSHMANO SA VO SATATA HAI MUJHE..

******

Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz
Aaj Dard Phir Kuch Sunaiga
Tanhai Nay Baandhay Hain Gunghru
Aaj Waqat Bhi Thahar Jaiga..

****

kyo labo pe gamo ke pahre laga lie yaron,
aao dur kar le sare gile shikwe,
jindagi to pir se mil jaegi yaro,
pata nai kal hum pir se mile na mile.

*****

Na koi khusi Na koi tammana Rkhte he hum
Apne hi saaye k sang Rhte he hum
Kaise kahe kaise he hum
Bas Ap khush he to bahut khush he hum

chup_chap....



Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The

Log Aate The Gajal Sunne
Hum Uski Baat Kiya Karte The
Sach Samajhte The Uske Vado Ko
Raat Din Ghar Me Raha Karte The

Kisi Viraane Mein Usse Milkar
Phool Khila Karte The
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
Hum Naam Unka Likha Karte The

Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The

Maa.........


Jab kisi ne mujhe choda, tune hi mujhe apnaya hai,
Tujhe hi mera rom rom, tu hi meri sanso mein chalti hwaa hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai

Tere paao mein jannat basti hai, tere much se amrit behta hai
Sabko darshan dene k liye,Tujhe mein hi rab rehta hai,
Aaj khada hu jis bhi mukaam par sab teri hi duaa hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai

Tu roothe to lage jaisa sara jhaa mere se rooth gya,
Hatho se mere kjoi jaise kaanch ka khilone koi tut gya
Har baar meri galti bhul k tune mujhe apnaya hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai


Tujhe hi jindgi shuru hui meri, tu hi mera bhagwan hai
Tu hi bharma Vishnu mere, tu hi mera raam hai
Tujh bin mera mujhe mein kuch nhi, yeh maine samjhaa hai
Tujhe chahu mein khud se zada meri maa, tu hi mera jhaa hai

Tujh se uncha na koi huaa, na koi hoyega,
Waise hi fal payega jo jaisa boyega,
Pehle maa, duja bhagwan fer bharat mata hoye hai
Tujh par jisne bhi kiye julm, itihas gwah hai who akhir tak roye hai..
woh akhir tak roye hai

Maa......


ek pedh jisne kabhi mujhe dhup lagne na di,
apne aanchal mein chupa ke rakha nazar kisi ki lagne na di.
yad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
har bar rone par tu hi mujhe hasati thi.
Achi neend ke liye naajane kaha kaha se nyi loria aur kahaniya lati thi,
ro padhta hai yeh dil yad karke woh din jab hatho se apne khana khilati thi.
Teri ungli pakad ke maine chalna sikha, teri hi aankho se yeh sansar maine dekha.
bhagwan khud na aa ska is liye shayad tujhe mere liye bhej diya,
nhi to woh bhi to hai yaha jinhe lawaris hi sansar mein chod diya.
aaj fer teri god mein sone ko dil kare,tere hatho se khane ko dil bekrar hai.
Yad a gye woh sunhere din, dil aaj bhi us samay mein jane ko bekrar hai
bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko, bachpan lot ke to aa nhi sakta,
tujhe kitna chata hu maa tujhe kabhi yeh bta nhi sajkta
mera har saans tera ehsan hai..jab chahe ise le lena,
chod ke na jana kabii chahe meri sanse bhi mujhse le lena....

TALASH.....


Koi ajnabii milaa to hai..
Dost ke naam pe
Ek farishta milaa to hai...
Karib ka nahi door ka sahi
Koi ek rishta tumse
Dilka bana to hai..


******

jindgi kein is utartey huey mode par
achanak lga thahrav aaya
nahi sambhal sakey hum
or bhikharney lagey
achanak ek hath bada or
matha sahla gaya mera
lga thandak mili
wo ajnabi jab kareeb aaya to lga
yen to wo hi hein
jiski bachpan sein talash thee
ek dost,
ek sathi,
ek bhai!!

nASEEB


spansirf le de ke yahi ek kami hai hum mein,
hum har ek shakhs ko insaan samajh lete hain.

ALAG TOH KHAAK MEIN MILKE HONA HI HAI IKK DIN......
FIR KYUN NA SANG HEE REHKE JEE LEIN


Log ban jaatein hain aaise waise jaane kaise
Main,main na ban saka main wo banunga kaise.
.

**********

taraqqiyon ke daur mein usi ka zaur chal gaya....
jo bana ke apna rasta bheed se nikal gaya....

naseeb tha uruz pe to chu rha tha asmaan ...
naseeb kya bigad gaya ,zameen pe phisal gaya....

Sunday, May 2, 2010

Veeran na banaye rakhna........


Kuch Na Ho To Yaadon Ko Sajaye Rakhna,
Mulaqaton Ka Na Sahi...yadon Ka Sahi,
Humse Koi To Rishta Banaye Rakhna...

*********

Reth Per Naam Kabhi Likhte Nahi,
Reth Per Likhe Naam Kabhi Tikte Nahi,
Log Kehte Hai ,ham Pathar Dil Hai,
Pattharon Per Likhe Naam Kabhi Mitte Nahi...

Woh Shaqs jana pahchana sa...


Woh shaqs pehchana sa, to anjaaN Kabhi kabhi

Hai saadgi me noor,ke aasmaaN se utra ho
Lagta farishta hai ,to wo insaaN Kabhi kabhi

AnkhoN ke tere, gehre samunder me doob jaaoN
Uthte ye dil me haiN,ayse toofaaN Kabhi kabhi

Baarish ki pehli boond ne jaadu sa kuch kiya
Bebas behekte hain mere armaaN Kabhi kabhi

Mohtaj alfaaz ki ye mohabbat na thi kabhi
AnkheN hi haal-e-dil kare bayaaN Kabhi kabhi

Khamoshi ab sahi na jaaye,kuch to tum kaho
mujh se gilay hi karlo meri jaaN Kabhi kabhi...

What we expect frm life


WHAT WE EXPECT FROM LIFE

WITH LONGING OF ACCOMPLISHMENT IN HEART
WE LIVE WITH HALF CHERISHED DESIRES

WHEN A LONGING TO PERFORM SOMETHING
UNTRADITIONAL,SPROUTS IN OUR MIND
WE LULL THAT LONGING
WITH LULLABY OF SANSKARAS

SUN LITTERED SKY IS IN FRONT OF US
WE CONFINE OURSELVES IN DINGY CELL OF MIND

WE WANT SEA LIKE EXPANSE IN OUR LIFE
IN REALITY,LIVE LIKE WELLED FROG

WE WANT STREAM LIKE FLOW IN OUR LIFE
AND HIDE FLOW OF TEARS IN OUR EYES

WE WANT TO WIN RACE OF LIFE
AND KEEP ON WALKING ON CLUTCHES

CRAVING TO DO SOMETHING OUTSTANDING
AND PANG OF FAILURE TO DO IT

WE KEEP ON LIVING WITH
CONFLICTING MIND

WE DON'T KNOW OURSELVES
WHAT WE EXPECT FROM LIFE

Tuesday, April 27, 2010

Kabhi Kabhi.....


Woh shaqs pehchana sa, to anjaaN Kabhi kabhi

Hai saadgi me noor,ke aasmaaN se utra ho
Lagta farishta hai ,to wo insaaN Kabhi kabhi

AnkhoN ke tere, gehre samunder me doob jaaoN
Uthte ye dil me haiN,ayse toofaaN Kabhi kabhi

Baarish ki pehli boond ne jaadu sa kuch kiya
Bebas behekte hain mere armaaN Kabhi kabhi

Mohtaj alfaaz ki ye mohabbat na thi kabhi
AnkheN hi haal-e-dil kare bayaaN Kabhi kabhi

Khamoshi ab sahi na jaaye,kuch to tum kaho
mujh se gilay hi karlo meri jaaN Kabhi kabhi

Monday, April 5, 2010


Acha Guzra Hua Waqt Bohat Yaad Aaya
Meri Aankh Ke Har Aansoo Pe Rone Wale
Aaj Jab Aankh Yeh Royi Toh Bohat Yaad Aaya
Jo Mere Dard Ko Seene Mein Chupa Lete The
Aaj Jab Dard Hua Mujhe Toh Bohat Yaad Aaya
Jo Mere Dil Tha Qareeb Faqat Uske Hi
Aaj Jab Dil Ne Bulaya Toh Bohat Yaad Aaya



Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e- dil mein chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chhod diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayina-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Saturday, March 13, 2010

Saath Hamara......





Tu Meri Zaat Ka Hissa Hai Agar Tu Samjhe



Ho Nahi Sakti Judda Phool Se Khushboo Jaise



Saath Humara Bhi Kuch Aisa Hai Agar Tu Samjhe

Friday, January 8, 2010


bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me
ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane me


baras padi tihii jo ruKh se naqaab uThaane me
vo chandanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane me



izi me ishq ki qismat badal bhi sakatii thi
jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane me

ye kah ke tut padaa shaakh-e-gul se aakhirii phuul
ab aur der hai kitanii bahaar aane me

Thursday, January 7, 2010


mere harfon se tujhe pyaar ka lafz hi mila tha kya

maayene badalane hi the to koi aur lafz hi churaaya hota

ab bataa pyar ki iss shaqal ko le kar kahan jaaun

shaksiyat badalni thi to koi aur naam hi bataaya hota

zindagi cheen kar tu ne maut mere haathon mein rakh di

zamaane mein beaabro jo kia, zara khuda bhi bulaaya hota

gumaaan bahut tha mujhe, ladne chali thi sabse

main jeet to jaati jo tu ne zara saath nibhaaya hota

tu dekh na paaya meri nazrein darwaaze pe hi tiki thi

kaash tune ek baar to zanzeer se khatkhataaya hota

haath to tu ne badaaya tha sanam meri taraf pehle,

ab jo sazaa di hai uska ilzaam khud par bhi lagaaya hota.....