
kis se mehfil ki baat karate ho
main to tanhaiyon main rehta hoon
humsafar koun hai mere gham ka
main to parchaiyon main rehta hoon
mujhko maaloom hain ke gham kya hain
mujhko ko maaloom hain zindagi kya hain
tum zamane ki baat karate ho
main to gehrayon main rehta hoon
meri aawaaz log sunate hain
dard ka saaz log sunate hain
meri shohrat to ek dhoka hain
main to ruswaiyon main rehta hoon
khud ko barbaad kar liya main ne
gham se aazaad kar liya main ne
ab weerana mera thikana hai apna
main to barbaadiyon main rehta hoon
mujhse poocho na aansuon ka sabab
jo mere paas hain muqaddar hain
kya khushi hain ye keh nahi sakta
gham ki main aandhiyon main rehta hoon !!
No comments:
Post a Comment