Saturday, December 20, 2008


Yado me aapki har baat rahegi,
Zindagi aapki dostise abad rahegi,
Chahe bhulade jamane ko ham,
Magar ye pyarisi dosti hamesha yad rahegi...

******

Kahin chirag kahin rishte nahi milte,
Ham ek jahan me hote hue nahi milte,
Base raho hamari ankhon me khwabki surat,
Ke tut jaye toh phir silsile nahi milte...

******

Lamhe honge mulakat bhi hogi,
Ham sath hai to wo baat bhi hogi,
Jab kabhi jaroorat ho meri bas mudke dekhana,
Meri dosti hamesha aapke sath hogi...

2 comments:

mahesh said...

Aaj ek ajnabi se dost banaya
jab dosti ki baat chali to mehsoos huva
Ki yeh koi ajnabi nahi thi..
Yeh to sau saal purani pehchan thi hamari,
Kya aap se baaten hui
Bas dil se khusi ke aansoo tapak pade,
Ki aise bhi sneh rakh ne wale hai jo ekdam se pehchan bhi lete hai hamen
Ham bekarar rahenge hamesha, aur sochte rahene ki,
Din char bach gaye hai ab jindgi ke,
Kya do arzoo me bitenge aur do intezar me bitenge.
phir bhi hame koi bhi shikva nahi hoga kisi baat ka,
Hamen to achchh dost jo mil gaya,
Bhala is se adhik kya chahiye , jab ek pyase ko pani ki jagah amrut mil jaaye..

mahesh said...

Hum safar mera.. Ham Raaz mera.. Tujhe salaam hai mera..
Ek hi deen ki yeh Pehchan kya hui..
Aur aapke hothon se madhur awaaz kya suni..
Jee bhar gaya mera aap ke pyar bhari madhur aawaz se..
Duba hun hamesha aapki mithi yaadon me..
Aur tairta raha huv, aap ke pyar ke gahere samander men.
Aap ke hasmukh se chahere ki aash rakh ke baitha hun men..
Ki kabhi to hoga smana aapse.. meri pyari si jaan se..
Jindji ke ekaise mod pe mujhe ek sahara diya jisne mujhe..
Rab ne meri bhi sun li.. Ki mujhe jine ki nai raah bhi dikhai..
Uljha huva tha main apne Jivan ki kathinaiyo men..
Akela hi ladta raha meri har mushil se aaj tak, pichchle das saalo se...
Na kabhi hara na kabhi maayush huva.. Na kabhi huva dukhi..
Bas ladta hi raha main apni puri takat aur imandari se..
Mer ssare dukh ab dhire dhire door hote chale hain..
Maine kabhi na kisis se dushmani ki na kisi ko diya dhokha..
Phir me mujhe yeh kathinai yan kyu?
Puchh maine rab ko ek din..
To Rab ne kaha..
"Face your past without regret. Handle your present with confidence. Prepare for the future without fear"
Aur maine vaisa hi kiya..
Hamesha dil me raheta tha dard.. aur chehere pi khushi..
Na kabhi apne aansoo o ko bahne dita maine..
Jab aansoo baahete the to chhip ke main ro leta tha..
Lekin kabhi meri iss jindgi se ladai se naa hara main..
Apani chachchai ko kabhi na chhoda, chahe ho jaye duniya idhar se udhar..
Apne usulo se raha kayam..
To dhire dhire aaj ek roshnio nazar aayi.. aur apni saari musibaton pe kamiyabi ka ek tej kiran dikhane laga..
issi mahol men mujhe ab mil gayi hai.. meri ek nayi si..pyari si.. dil ki naazuk si aur bahut hi hasmukh si ek nayi dost..
Aaj main khush huv itna ki na puchho koi baat..
Mere Rab ka main ehsan mand hun..
Ki mujhe ek khubsoorat si.. pyari si.. saheli de di..
Dil ke jharohe men bitha ke Rakhkhunga usse..
Aur na hone dunga mere dil se door kabhi..
Aaj Rab se yehi ummid rakhkhu.. ki
Hamari yeh dosti.. yeh pyaar jivan bhar bana rahe..
Diya hain maine bharosa use..
Na toduga yeh viswash ki dor kabhi sapne bhi..
Meri yaado men hamensha basi rahogi tum..
agar milne ka kabhi na mila sanjog mere aakhari dam tak..
Main intzar karunga uska agle janma par bhi..
Mere yaar ka vahan bhi karunga intezar mean besabri se..
Mere yaar mere humdam..mere sahare..
Aap khush raho..
Hum safar mere, Hum Raaz mere..stemba