
koyee hunar nahee tujhko manane ke liye
geet bhee bakee nahee sunaane ke liye
mujh ko ye ilm nahee tha aaj se pahale
log khafa hote hain aajmane ke liye
nagamat ka tajmahal le ke ayoonga agar
thodee see muhabbat layo deewane ke liye
jo tere liye likhe hain nagmen aur hain
kitabon men jo hain hain zamane ke liye
teree ankhon ne dil sara ye padh liya
kuch bhee nahee raha ab batane ke liye
No comments:
Post a Comment