Sunday, September 28, 2008

Asha ki kiran ..........

Asha ki kiran mere naam mein chupi huin hain
Apne labbo se mera naam leke to dekho
Dard na samet liya tho dubara chaukath pe na dikhu
Aasoon na pooch diye tho kabhie in haatho se kisi ka daaman na pakdu

Zindagi ki lakeere bhale hi na badal saku
Ruthe huen ruksato ki bahav ko thehra doon
Teri khushi ke naam pe apni aadi khushi samarpan kardu tujhpe
Tu laakh mana kare, meri har ruh mein tera hi naam likha

Kasam khaayi hain hamesha teri chaaya bankar rehne ki
Tu aage bhagta jaa, main tere saath chalti rahu
Yeh zor mere taraf se hi sahi
Tujhe bhar lage ye mera dakhalandaaz

Tu bhool gaya, lekin main na bhooli
Vo waqt tha mera astitva ek gehraayi mein gir raha tha
Vo tum the jisne nai disha di
Aaj tum gehraayi mein gir rahe ho
Tho mera farz hi samajh lo ise

Mujhe tutte huen tum dekh na sakke
Kis aasha se main dur khadi sab dekhu
maine tho pehle din hi soch liya tha

Zindagi bhar ye daaman na chodun
Tu laakh mana kar, meri har ruh mein tera hi naam likha .......

No comments: