Ek bar phir udasi ne apna rukh badla hai,
Ek bar phir udasi ki in hawao ne mujhe chua hai,
Ek bar phir sawalon ki andhi chali hai,
Ek phir is andhi ne mere dil ko toda hai.
Ansuo ki lehron mein phir se doobne lagi hu,
Is toofan mein sahil ko dhundne lagi hun,
Phir se dil mein ek hulchul si machi hai,
Jaise mere armano ki chingari sulgi hai.
Ek bar phir udasi ne apna rukh badla hai,
Ek bar phir udasi ki in hawao ne mujhe chua hai.
Kyun har pal hum apneap se ladte hain?
Apne hi khamosh lavzo ko hum kyu nahi sunte hain?
Maan mein chal rahe in sawalon ka aant kya hai?
Ankhon mein nami honthon par muskan ki vajah kya hai?
Ek bar phir udasi ne apna rukh badla hai,
Ek bar phir udasi ki in hawao ne mujhe chua hai.
Maan ki in uljhano ko,
Lavzon mein dhalna aasan to nahi,
Kamptein hathon se,
Apne adhurepan ki kahani likhna akhir mazak to nahi,
Shayad isiliye ye panktiyan adhuri si lagti hain,
Shayad isiliye apni in uljhano par na chahte huye bhi hansi aati hai.
Ek bar phir udasi ne apna rukh badla hai,
Ek bar phir udasi ki in hawao ne mujhe chua hai......
No comments:
Post a Comment