Monday, October 6, 2008

Naam Mera...........


Ret par likhke mera naam jab tumne
Apne hi hathoin se mitaya tha
Tab kya koi asq tumhari ankho mein
Thodi der bhar aaya tha….

Tab kya itna na hua tumse ki
Kuch der thahar jaao wohin
Aur sagar ki lahroin ka intzaar karo???
Kuch der aur yuhi mere naam ke harfo se pyar karo
Koi na koi lahar aake mita hi deti
naam mera tumhari nigahoin se hata hi deti
ya ye ankho ka samundar bhi yahi kar jata
naam ko mere tumhari hi nazar kar jata
likha tha tumne aur tumne hi mita dala tha
dil ko isi baat ne ghayal bhi kar dala tha

tumhara dil sagar ke kinare pe yun aa kar rota
tumhare asqoin se mera naam mitaya hota
ye kash!!! Mera naam is tarah tumne
ret par likh kar khud hi mitaya na hota
na gum tha mujhe koi phir tu paraya na hota
ya ret se mera naam is tarah mitaya na hota
ya mera naam kabhi ret par laaya na hota
tumne bhi asq bahaya na hota
aur phir meine bhi asq bahaya na hota……****

No comments: