Monday, October 6, 2008

SHAME uDAS............


*******Hamari shamain to udas hi hua karti hain aksar
Kuch khuahishen dil main yunhi mara karti hain aksar

Andheri ratoon main tumhari yaad ke jugnoo
Chamken to barishen hi hua karti hain aksar

Reh jaye gar dil main koi natamam si khuahish
To hansi main bhi talkhiyaan ghula karti hain aksar

Shoroo din ki bahar main jo tum ne kia tha
Us wade ka zikr ye hawayen kia karti hain aksar

Us aik naam pe hum apni ye umar bita den
Ke us naam se hi ye fizayen saja karti hain aksar

Mil jana rehguzar pe aur bichar jana mor pe
Muhabbat main yehi batain aam hua karti hain aksar *****

No comments: