Monday, October 6, 2008

Chahat.......


Zindagi mein Bahut baar waqt aisa aayega..
jab tumhen chaahne wala hi tumhen Rulayega..
Magar vishawas rakhna uspar....
Akele mein Wo Tumse Kahin zyada aansu Bahaayega... ....

************ ****
Ye aansu bhi kambakht ek pareshaani hain..
Khushi aur gham dono ki nishaani hain..
samajhne waalon k liye anmol..
aur n samajhne walon k liye ye pani hain..

************ ****
Humare aansu ponchhkar wo muskurate hain..
Unki is ada se wo is dil ko churate hain..
Haath unka chhu jaye is chehre ko..
iss ummeed nein hum khud ko rulaate hain..

************ ****
In aankhon mein aansu aaye hi n hote,
Agar woh peechhey mudkar muskuraaye hi n hote,
Unke jaane k baad ye gham hua humein,
kaash woh zindagi mein aaye hi n hote........
*************

No comments: