Monday, October 6, 2008

Soch Rakha Tha............


Yeh soch rakha thaa ke
Jab bhi woh humein
Kabhi sar-e-raah mil gaya tau
Nigaahain chura kar
Palkoon pe bund baandh lenge
Magar....
Achaanak jab woh saamne aaya tau
Hazaar zabt ke bawajood bhi
Aansoo mere gaal tar karte huwe
Mera daaman bhigo gaye...

Bhuja diye hain khud apne haathoon, muhabatton ke deye jala ke
Meri wafa ne ujaar dee hain, umeed ki basteyyaan basa ke

Tujhe bhula denge apne dil se, yeh faisla kiya tu hai lekin
Na dil ko maloom hai na hum ko, Jeeyenge kaise tujhe bhula ke

Kabhi milenge jo rastay mein, tu munh phira kar palat parenge
Kaheen suneynge jo naam tera, tu chup rahenge nazar jhuka ke

Na sochne per bhi sochta hon, ke zindagi mein kya raheyga
Teri tamanna ko bas mein kar ke, tere khayaloon se door ja ke ******

No comments: