Monday, October 6, 2008
Saza............
Saza yeh dee hai ke aankhoon se cheen lee neendain
Qusoor yeh thaa ke jeenay ke khwaab dekhay thay ...
Tum ko chaahatay huwe bhi bhool jaana acha laga
Anso'oun ko chupa kar muskuraana acha laga
Tum ajnabi thay mere leye
Magar apna jaan kar acha laga
Pehchaan tu ek pal ki thee
Magar sadeyoon se jaan kar acha laga
Khwaboon mein yadoon mein tum thay
Magar tum ko bhulaana acha laga
Meri rooh ka ek hissa thay
Magar khud se juda karna acha laga
Meri zindagi ka sarmaaya thay
Magar tum ko lautaana acha laga
Mere armaanoon ka saawan thay
Magar tum ko barsaana acha laga
Meri khushiyoon ka jahaan thay
Magar tum ko mitaana acha laga
Khud ko bhool janaa aur
Tum ko yaad karna acha laga
Sab khwahishoon ko mitaana
Sirf tumhein paana acha laga
Logoon ke kehnay mein aana aur
Sab kuch bhulaana bolo kissay acha laga
Yehi tu rasm-e-duniya hai issay nibhaana acha laga ... ****
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment